Send Free SMS to Any Network in Pakistan

Wednesday, May 5, 2010

Sher O shayari

Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do

Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tum ko
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do

Mujhe qaid kar lo apne ishq main aur
Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do...


Ghazal
 
Humain wo bhool gaay ab to ek zamana howa
Aansuwoon say bhi rishta ab purana howa

 Na raha yaad koe dard chehra jo on ka dikha
Hum ko dekha to zalim hum say anjana howa

 Ho gaay shajar bhi weran meri zindagi ki tarhan
On peh aye na bahar mousam ka jo bahana howa

 Jis roz kia meray naam ki pehchan per inkaar
Mai to osi roz sari dunya say begana howa

 Zeest apni bhi guzar jaay gi ab jo bhi ho bhala
Sans ruk jaay gi on ki galion say jo guzarna howa


Bicharne walay
Chalay jo ho to bata k jao
Keh kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein
Keh kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein
Bata k jao Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai
Keh kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein
Bata k jao keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke
Keh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein
Bata k jao keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha
Tou kaya kahoon ga?
Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga
Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga
Bata k jao keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga
Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga
Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain
Fallk ko, taron ko, jugnu'on ko salam dene hein ya nahee hain
Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna
To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna
Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho
Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho
Arooj kiya ho, zawaal kiya ho
Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho
Bata k jao keh meri halat pe chandni khikhila pari to
main kya karoon ga
Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parri tou
Main kiya karoon ga
Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai
Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chalay jo ho tou bata kay jao
ke loutna bhi hai ya.......... ......???


Pyar Chupta Nahi Chupane Se

Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se
Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho
Kya Hoga Ye Dhan Lutane se .....

PHONE KARO

Shabnami Raat Suhani hai Mujhe PHONE KARO
Ik Ghazal Tum ko Sunani hai mujhe PHONE KARO

Phir Nayaa Khwab dekhana hai Sehar hone Tak
phir NAee Shama Jalani hai Mujhe PHONE KARO

Daimi Wasl ka Ahsaas Dilana hai Tumhein
Raat Chup Chaap Bitaani hai Mujhe PHONE KARO

Tez Barish hai Hawayein Sard Musam Hai
Har Taraf Paani hi Paani hai Mujhe PHONE KARO

Main bhi Behke Howe Jazbaat ki Zad mein hoon abhi
Tum Pay bhi Daur-e-JAwani hai Mujhe PHONE KARO

Main bhi Barbad hua hoon Na Abhi Ruswa Tum
Na Mukamil ye Kahani hai Mujhe PHONE KARO

Tum se Mil kar Hi main bhichroon koi Lazim to nahi
Phir bhi ik Rasam Nihbani hai Mujhe PHONE KARO




WO Kehtii Hai Tumhien Kyon Is Qadar Jaldii Hai Milney Ki 
WO Kehtii Hai Tumhien Kyon Is Qadar Jaldii Hai Milney Ki
Kehta Hon Mujhey Har Pal Azaab E Jaan Sa Lagta Hai
WO Kehtii Hai Muhabbat Sey Mussarat Bhar Gaii Dil Mein
Main Kehta Hon Abhi Kuch Gham Bhi Niklien Gey Ta'aqub Mein
Who Kehti Hey, Mohabbat Mein Bohat Nadaan Ho Tum TU
Mein Kehta Houn, Masail Sey Bohat Anjaan Ho Tum TU
WO Kehtii Hai Kya Guzrey Zamaney Lout Aatey Hain
Main Kehta Hon Aisa Kab Hua Mumkin Zamaaney Mein
WO Mujh Sey Poochti Hai Dard Ki Yeh Raat Kab Tak Hai
Main Kehta Hon K Pagel-Pan Kii Koii Had Nahii Hotii
WO Mujh Sey Poochtii Hai Kon Rota Hai Kwaaron Mein
Mein Kehta Hon Abhi Ik Dard Hai Dil Ki Daraaron Mein
WO Mujh Sey Poochti Hai Ishq Kya Dewaangii Kya Hai
Mein Kehta Hon Koii Aatish Ragoun Mein Thehar Jati Hai
WO Kehtii Hai K Peela Rang Hai Kyon Udaasii Ka
Main Kehta Hon Udaasi Bhi Kisi Dukh Ki Ilaamet Hai
Kaha Us Ney Muhabbat Key Sabhi Mousam Niraley Hain
Kaha Main Ney Muhabbat Ki Har Ik Shab Mein Ujaaley Hain
Kaha Us Ney Muhabbat Mein Boht Sey Khaar Hotey Hain
Kaha Main Ney Junoon Key Raastey Dushwaar Hotey Hain
Kaha Us Ney Muhabbat Weham Key Sou Jaal Bunti Hai
Main Kehta Hon Muhabbat Khud Yaqeen Key Phool Chuntii Hai
Kaha Us Ney Muhabbat Sab Saharey Cheen Laitii Hai
Kaha Main Ney Muhabbat Rooh Ko Taskeen Daitii Hai
Kaha Us Ney Muhabbat Ik Khyaal E Khaam Hotii Hai
Kaha Main Ney Muhbbat Ik Dukh Bharii Shaam Hotii Hai
WO Mujh Sey Poochtii Hai Log Itney Kum-Nazar Kyon Hain
Mein Kehta Hon Not Allowed Pan Yahaan Aadat Mein Shamil Hai
WO Kehti Hai Milon Tum Sey To Kyon Kar Log Jaltey Hain
Mein Kehta Hon K Un Ko Un Kii Kum-Tarii Sataati Hai
WO Kehtii Hai Abhi Tak Khwab Hain Kyon Kar Nigaahon Mein
Mein Kehta Hon Abhi Tak Zindgii Ki Aaas Baaqii Hai
WO Kehtii Hai Ulajh Jatii Hon Main Yaadon Ki Daldal Mein
Mein Kehta Hon Meray Bhi Zehn Mein Sochon Ka Jungle Hai
WO Kehti Hai Ab Kaisa Laga Hai Lout Kar Aana
Main Kehta Hon Abhi To Kuch Nahi Badla Zamaaney Mein
Main Kehta Hon Meray Har Soo Ghamon Ki Raat Hai Koii
WO Kehti Hai Koii Din Bhi Nikal Aaye Ga Chupkey Sey
WO Kehtii Hai Tumhien Kyon Roshnii Achii Nahii Lagtii
Main Kehta Hon Andhairon Sey Shanasaaii Hai Barson Ki
WO Kehtii Hai Tera Daman Haseen Phoolon Sey Bhar Don Gii
Main Kehta Hon Ghamon Ney Chaid Kar Daaley Hain Jholii Mein
WO Kehti Hai Mujhey Daman Rafu Karna Bhi Aata Hai
Mein Kehta Hon Sada Qaaiym Rahey Teri Masehaaii
WO Kehtii Hai Kaii Baatien Bhulla Dey Na Hi Behtar Hai
Main Kehta Hon Mera Maazii Bhi Naqsh E Aab Hai Koii
WO Kehti Hai Ajab I Dard As Utrey Hai Rag Rag Mein
Main Kehta Hon Muhabbat Dard Ki Tameer Kartiii Hai
WO Kehtii Hai Abhi Tak Hai Yeh Mousam Judaaii Ka
Main Kehta Hon Meri Jaan Kya Karon Bus Mein Nahi Kuch Bhi
WO Kehtii Hai K Har Rasta Tujhey Hii Dhoondna Hoga
Main Kehta Hon Mujhey Ehsaas Hai Har Zimeydaarii Ka
WO Kehtii Hai K Kyon Maah E Muhbbat Ghatney Lagta Hai
Main Kehta Hon Amawas Kii Siyaah Raatien Bhi Aati Hain
WO Poochtii Hai Is Qadar Tum Nat-Waan Kyon HO
Main Kehta Hon Ghamon Ney Rooh Ko Bhi Kar Diya Ghayel
WO Kehtii Hai Ajab Ik Khouf Hai Dil Key Shigaafon Mein
Main Kehta Hon Mujhey Bhi Be-Yaqeenii Dastii Rehtii Hai
WO Kehtii Hai Zamana Roand Daaley Ga Muhabbat Ko
Kaha Main Ney Meri Jaan Main Magar Tum Ko Bacha Loon Ga
WO Kehti Hai Ajab Gham E Zehar As Dil Mein Utarta Hai
Main Kehta Hon Mera Dil Rait Ki Soorat Bikharta Hai
WO Kehti Hai Nikal Aao Ghubaar E Zaat Sey Baahir
Main Kehta Hon Nahii Kuch Bhi Madaar E Zaat Sey Baahir
WO Kehtii Hai Meray Lab Par Muhabbat Key Taraney Hain
Main Kehta Hon Muhabbat Key Sabhii Mousam Suhaaney Hain........ .!!!

No comments:

Post a Comment

Powered by Blogger
Web Analytics