Send Free SMS to Any Network in Pakistan

Wednesday, May 5, 2010

Sher O shayari

Aye Khuda Na Ho Mahobbat Bewafao Se Ye Dua Hai Meri,
Koi Na Tadpe Pyar Main Ye Shikayat Hai Meri,
Ager Milti Hai Saja Pyar Ki Ladko Ko Tanhai Ki,
To Maut Bhi Na Nasib Hi Husnwalo Ko Ye Baddua Hai Meri.



Kyon Ham Kisi Par Khud Se Jayda Bharosa Karte Hai

Kyon Ham Kisi Par Khud Se Jayda Bharosa Karte Hai,
Wo Hi Hamari Peeth Mein Khanjar Ghop Dete Hai,
Jab Udana Hi Tha Majak Jindgi Ka,
To Kyo Log Pyar Karne Ka Natak Kiya Karte Hai !!!


Tere Pyar Mein Duniya Ko Chhod Diya

Tere Pyar Mein Duniya Ko Chhod Diya,
Tujhe Pane Ke Liye, Har Rishta Tod Diya,
Par Tune Ka Kiya Ai Bewafa,
Kisi Aur Ko Pane Ke Liye Mera Dil Tod Diya.


Aye Zamane Walon Mahoobat Ki Hamesha Pooja Karo

Aye Zamane Walon Mahoobat Ki Hamesha Pooja Karo,
Ho Sake To Pyaar Karne Waalon Ko Kabhi Na Juda Karo,
Zindagi Me Sachha Pyaar Kisi Kisi Ko Nasib Hota Hai,

Kisi Aasiq Ko Lagana Pde Moot Ko Gle,
Kisi Ke Liye Kabhi Na Eshi Duaa Karo,
Wo Bewfai Bhi Kis Kaam Ki Jo Diloo Mein Duriyan Bana De,

Pyaar Karne Wale Hamesha Wafa Karte Hai,
Pyaar Ki Ijjat Karne Waalon Se Wafa Karo,
Ishq Ke Junun Mein To Raanjhe Majnu Ne Apni Jaan Gawa Di,
“Raj” Ishq Ibadat Hai, A Bedard Duniya Waalon Ise Samjha Karo !!


Patjhad Vich Patiyaan Ne Vi Sukh Janna Ay

Patjhad Vich Patiyaan Ne Vi Sukh Janna Ay,
Kise Mod Te Aake Chan Ne Vi Luk Janna Ay,
Palkaan Vich Hanju Hun Rukan Da Naa Ni Lende,
Zindagi Di Khwahish Rakhan Valiye,
Teri Yaad Vich Ek Din “Raj” Ne Vi Muk Janna Ay !!


Aaja Ki Ek Nazar Tujhe Ji Bhar Ke Dhek To Lun

Aaja Ki Ek Nazar Tujhe Ji Bhar Ke Dhek To Lun,
Teri Khamosh Nighahon Se Ek Baar Pike Dekh To Lun,
Marne Ke Baad Na Rahegi Tamanna Kisi Jannat Ki “Raj” Ko,
Teri In Pyaar Bhari Bahoon Mein Ek Baar Mar Ke Dhek To Lun !!

Yun Chand Ager Dost Ho Mera

Yun Chand Ager Dost Ho Mera,
To Jamana Kya Kahe,
Dekh Uski Roshni Mein Mujko,
Jamana Kya Kahe,

Tu Hi Daria Mein Hu Kishti,
Saat Kahi Bah Chale,
Tufano Ko Hum Saat Jhele To,
Jamana Kya Kahe,

Tu Shama Hai Mein Patanga,
Dur Hum Kaise Rahe,
Pass Aake Mein Jalu To,
Jamana Kya Kahe,

Tu He Nindia Me Hu Khab,
Dur Hum Kaise Rahe,
Tu Aajae Mein Na Aau To,
Jamana Kya Kahe,

Tu Bahar Hai Mein Hu Patjad,
Saat Apna Kaise Nibhe,
Raah Me Teri Mit Jau To Jamana Kya Kahe.


Manjil Chod Deta Hai Nav To Sahil Nahi Milta


Manjil Chod Deta Hai Nav To Sahil Nahi Milta,
Pyar Ki Kashti Ko Koi Kinara Nahi Milta,
Ager Tut Jaye Dil To Kherat Main Milti Hai Tanhai,
Per In Ansuon Ko Samjne Vala Khuda Kahi Nahi Milta.


Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kaafi Hai

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kaafi Hai,
Tamaam Umar Yehi Aasra Hi Kaafi Hai,

Jahan Kahin Bhi Milo, Mil Ke Muskura Dena,
Khushi Ke Wastey Yeh Silsila Hi Kafi Hai,

Mujhe Bahaar Ke Mausam Se Nahi Kuch Lena,
Tumhare Pyar Ki Rangeen Fiza Hi Kaafi Hai,

Yeh Log Kaun Si Manzil Ki Baat Karte Hain,
Musaafiron Ke Liye Tu Raasta Hi Kaafi Hai.


Kya Kahun Dard Mera Kya Hai

Kya Kahun Dard Mera Kya Hai,
Pyar Main To Khuda Bhi Ro Ro Ke Betha Hai,
Na Aas Lagao Uperwale Se Ke Mahobbat Ko Milye,
Kyun Ke Har Bar Wo Bewafai Se Dil Ko Tadpata Hai.


Pathzad Ko Apnate Hai Log Yaha

Pathzad Ko Apnate Hai Log Yaha,
Koi Nahi Hai Hume Chahane Wala,
Jahan Dekha Waha Hariyaali Paaya,
Bas Apne Kadmonke Niche Banzar Zameen Paaya.

Mat Dekh In Nighaon Ko

Mat Dekh In Nighaon Ko,
Mat Dekh In Nighaon Ko,
Yeh Nazaro Se Maar Deti Hai,
Maine Inhi Aankhon Se Dekha Hai,
Yeh Kitno Se Pyaar Karti Hai.

Na Jane Kyun Woh Apne Aap Ko Khuda Kehta Hai

Na Jane Kyun Woh Apne Aap Ko Khuda Kehta Hai,
Jo Mila Na Paye Do Pyar Walo Ko Wo Na Inssan Hota Hai,
Tadapta Hai Ishq Main Ashiq Itna Phir Bhi Rahem Farmana,
Sirf Bewafa Ke Nasib Main Kyun Hota Hai.

Jmaane Ki Raah Main Dilwalo Ka Mela Hota Hai

Jmaane Ki Raah Main Dilwalo Ka Mela Hota Hai,
Mahobbat Main Bewafai Ka Tadka Laga Hua Hota Hai,
Chain Se Ji Lete Hai Kaise Jub Kisi Ka Dil,
Tukde Tukde Main Bata Hua Hota Hai.

Chahte Hai Hum Sirf Unhe

Chahte Hai Hum Sirf Unhe,
Isliye Oron Ko Dil Mein Basay Nahi,
Najane Kyun Hai Unhe Mahobbat Gairo Se Itni,
Unke Liye Mere Pyaar Ko Aaj Thukraya Hai.

Aaj rootha huwa ik dost bohat yaad aaya


Aaj rootha huwa ik dost bohat yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqat bohat yaad aaya

Mere ankhon k har ik ashk pay ronay wala
Aaj jab aankh yeh royee to bohat yaad aaya

Jo mere dard ko senay main chupa layta tha
Aaj jub dard huwa mujko to bohat yaad aaya

Jo mere ankh main kajal ke tara rehta tha
Aaj kajal jo lagaia to bohat yaad aaya

Jo mere dil k tha qareb faqat usko he
Aaj jab dil ne bhulya to bohat yaad aaya

Yaad aata hai

Hamain ab yad aata hai
Bahut masoom they hum bhi

Ke hum ek ajnabi ko
Tareek rahoon main
Sahara maan bethey they

K us k chand cherey ko
Hum apne bakhat ka
Roshan sitra maan bethey they

Hamain maloom hi kab tha
K dasht-e-zindagi main
Sahare choot jate hain

Kabhi aesa bhi hota hai
Nazar jin per thairti hai
Woh tare toot jate hain........


Apne hathon se yun chehra chupate kyun ho



Apne hathon se yun chehra chupate kyun ho
Mujh se sharmate ho to samne aate kyun ho


Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqrar-e-wafa
Pyar karte ho to phir pyar chupate kyun ho


Ashk ankhon mein meri daikh ke rote kyun ho
Dil bhar aata he to phir dil ko dukhate kyun ho


Un se wabasta hey jab mera muqaddar phir tum
Mere shaanon se yeh zulf apni, hataʼte kyun ho


Roz mar mar ke mujhay jeene ko kehte kyun ho
Mil'ne aaate ho to phirr laot ke jate kyun ho


Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko,.....



Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko,.....
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko ......


Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dahrkan ki tarah tum bhi basana mujhko !....


Baat karnay mein jo mushkil ho tumhain mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujhko !


Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujhko !


Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !


Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !




Tum ne samjha he nahi mari chahat ko kabhi
Tum ne samjha he nahi mari chahat ko kabhi
Tum ney chaha hi nahi meri muhabbat ko kabhi

Sochta hoon main jaan leta tumhey
Main ney parkha nahi teri fitrat ko kabhi
Mana ik umar kati yadoon me chaltey huye

Wo marasam na rahey rahon pe chaltey huye
Ab hai tanhayiyan aur parchayian baki
Ho gaye ham sey juda wo hamsafar mere sathi

Sochta hoon ke main jaan leta tumhey
Main ne jana hi nahi teri hasrat ko kabhi
Ye safar pyar ka tanha kat“ta hi nahi

Koyi be par ho dil machalta hi nahi
Tum ko maloom hai tum dilruba hamare the
Pyar ke rahon me tum hamsafar hamare the

Sochta hoon ke main jaan leta tumhain
Mere dil ne itani bepanah muhabbat ki hai tumse
kuch gairon ke liye tumne use samjha hi nahi

maine ye kab chaha ki tum meri zindagi roshan karo
Lekin mere dil ke armaano ko tumne jaana hi nahi
Maine mohabbat ki hai aur nibhaunga ye wada hai

Aasmaan sey inaayatain, na tujhey mileen na mujhey mileen


Aasmaan sey inaayatain, na tujhey mileen na mujhey mileen
Mohabbaton sey raahatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Hamein aashiqi mein sach mila, hamein zindagi mein sab mila
Magar beʼwafaai ki aadatein,na tujhey mileen na mujhey mileen

Udhar tu dua mein lagi rahin, idhar mein dua mein laga raha
Par mannaton sey haajatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Thi aarzu kabhi saahilon pe, terey saath saath hum chal sakein
Par samandaron sey ijazatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Jis zindagi ki khaahishon mein, so rat-jagon mein sajood keeye
Us zindagi ki bashaaratein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Hasraton ke deeyon ko aag, kabhi tu ney di kabhi mein ney di
Magar roshni ki alaamatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Na to terey dard rukey kaheen,  na merey zakhm bharey kabhi
Sabar-o-shukar ki haalatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Teri manzilein kahein aur thein, meri manzilein kahein aur thein
Kisi aek simt ki musafatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Tu ruk gaii kisi aur ke darr, mein thehar gaya kisi aur ke ghar
Man-pasand si chaahatein, na tujhey mileen na mujhey mileen

Hamaari pur_khaloos neeyaton sey manzilein kyun chin gaein!
Muqaddaron sey wazahatein, na tumjhey mileen na mujhey mileen


yuun apney dil ki dunia ko basa rakha hay


yuun apney dil ki dunia ko basa rakha hay
kay teri yadoon ko dil main sajja rakha hay

mar na jayeen ger kaheen tumko baiwafa hum
humnay teri jafaon ko b terz-e-wafa rakha hay

mere her dard ka darmaa'n tum ho janaa'n
humne apne dard ki tum ko dawa rakha hay

her hal main rakha hay tum ko afzal jana'n
khud ko dasht aur tumko bad-e-saba rakha hay

meri tanhayian teri yad say abad rehti hain
aur mehflon main dya tere nam ka jala rakha hay

yuun rakha hay tum ko khushbo main basa kr
kay her roz teri tasvir pr phool ik naya rakha hay

gul-e-tamana ki her ik pati pr tera nam likh kr
chamane-arzo main tumko pholon ka khuda rkha hay

us ki muhabat main zinda hon main abtak sameer
werna es dunia main apney liye kya rakha hay


Muhabbat Hum say Karni Hai Tu Phir Waada Nahi Karna
Muhabbat Hum say Karni Hai Tu Phir Waada Nahi Karna
Yeh Waadey Hum nay Dekhay Hain Kay Aksar Toot Jatey Hain

 Muhabbat Hum say Karni Hai Tu Phir Zid Bhi Nahi Karni
Yeh Zid Bhi Hum nay Dekhi Hai Kay Saathi Choot Jatey Hain

Muhabbat Hum say Karni Hai Tu Phir Tohfa Nahi Dena
Yeh Tohfay Hum nay Dekhey Hain Bauht Majboor Kartey Hain

 Muhabbat Hum say Karni Hai Tu Phir Shikwa Nahi Karna
Yeh Shikway Hum nay Dekhey Hain Diloon Ko Door Kartey Hain........ ...



muhabaton kay silay ajab milay humko.

muhabaton kay silay ajab milay humko.
saray zamanay kay gazab milay humko

jinko socha tak hum nay ba-vazo hoker
wo her bar hi bai-adab milay humko

un ki jafayeen tu her uhad main taza raheen
aur humari wafa jaan ba lab milay humko

Qyamat aik hi kafi hay dunia ujarney kyliye  .
naseeba apna k gam Sao arab milay humko

jinkay liye mangi humnay roshni say bheek
wo jub milay hain terz-e-shab milay humko

kabi baiwafa,kabi herjai kabi dushman kehlay
sameer ishq main kiya ala maratab milay humko


Umr jalwon mein basar ho ye zuroori to nahi


Umr jalwon mein basar ho ye zuroori to nahi
Har shab-e-gham ki seher ho ye zaroori to nahi

Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Teri aagosh mein sir ho ye zaroori to nahi

Kitna Bhi Chaho Na Bhool Paoge Hume
Jitni Door Jaoge Nazdik Paoge Hume

Mita Sakte Ho To Mita Do Yaaden Hamari
Magar Kya Sanso Se Juda Kar Paoge Hume

Mohabbat Ka Matlab Intzaar Nahi Hota
Har Kisi Ko Dekhna Pyar Nahi Hota

Yun To Milta Hai Roz Mohabbat-E-Paigam
Pyar Hai Zindgi Jo Har Baar Nahi Hota...

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hain
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hain

Diwane Hi To Hain Hum Tere Jo Har Waqt
Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hain...

Bahte Ashkon Ki Zubaan Nahi Hoti
Lafzon Mein Mohabbat Bayaan Nahi Hoti

Mila Hai Pyaar To Kadar Karo
Kismat Har Kisi Par Meherbaan Nahi Hoti


No comments:

Post a Comment

Powered by Blogger
Web Analytics