Send Free SMS to Any Network in Pakistan

Wednesday, April 14, 2010

Sher O Shayari of the day


Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Miltay hain bohat log is tanha zindagi main,
Par koi doost ap sa accha,piara nahi hota

Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain

Na karna badnaam is nadaan ko shayer keh kar
Bus zakhm dil ke bhula deta hun likh kar.
kiya khub kiya tumne mere zakhmon ka ilaj,
marham bhi lagaya to katoon ke nok se

unko na apna paye hum, unse ye baat chhupa na paye hum
thokar khaye itne magar, unse na naraz ho paye hum
pyaar samajh na paye magar, iska dard sehe gaye hum
pyaar ke naam pe jaan nehin, ye pyaar hi luta gaye hum

koi aankon ankon may baat kar leta hai..
koi aankon aankon may mulaqat kar leta hai...
bada muskil hota hai jawab dena ....
jab koi chup rahkar bhi sawal kar leta hai....


Yun to hum kisika peecha nahi karte,
Darde dil liya, to kisiko diya nahi karte,
Ittefaq ki baat hai ki ye dosti aap se hai,
Varna itni kimti cheez hum kisiko diya nahi karte…

kuchh is tarah thokar kha gaye hum
ki ye zindagi se hi ghabrate rahe hum
kucch is tarah ghayal ho gaye hum
ki ishq ke naam se bhi ghabra rahe hum


ISHQ KARNAY K B KUCH AADAAB HOTAY HEIN..
JAGTI ANKHOON MAY B KUCH KHAWAB HOTAY HEIN..
HAR KOI ROO DAY YA ZARORI TU NAI..
KHUSHK ANKHOON MAY B SAYLAB HOTAY HEIN


har sitara chand k kareeb nahi hota,
dil ki daulat wala kabhi garib nahi hota,
dost tum jese milte he mukkadar se,
har kisi ka aisa naseeb nahi hota.

Ghaayal kiya jab apnno ne,to gairon se gilla kiya kerna
uthaye hain khanjer jab apno ne,to zindagi ki tammna kiya kerna

dil tha aik kanch ka gher ,so aakhir wo bhi toot gaya
qismat main likhye hain jab ghum,to khuda se gila kiya kerna


Yaar ne dil ka haal batana chod diya,
Hamne bhi gahraai me jaana chod diya,
Jab usko hi doori ka ehasaas nahi,
Hamne bhi ehasaas dilana chod diya.


BAHUT UDAS HAI KOI SHAKHS TERE JANE SE,
HO SAKE TO LAUT AA KISI BAHANE SE,
TU LAKH KHAFA SAHI, MAGAR EK BAR TO DEKH,
KOI TUT GAYA HAI TERE RUTH JANE SE


Sukhe patte se pyar kar lenge, 
hum tuj par aitbaar kar lenge,
tum yeh to kaho hum tumhare hai,
hum zindagi bhar  intezaar kar lenge


Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron..

laut jati hai duniya gum hamara dekhker,
jaise laut jati hai lahre kinara dekhker,
tu kandha na dena janaje ko mere,
kahi fir jinda na ho jau tera sahara dekhkar.


vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye,
zakhm muft me aur dard tohfe me le aaye,
isse jyada wafa ki misal kya hogi,
ki maut se pahle hi dost kafan le aaye.


Aaj dur se hi koi salam kar gaya,
 apni yaado ka gulam kar gaya,
 apni zindagi girvi rakh kar kharida tha jise,
 aaj wo hi hume nilaam kar gaya...


Yeh Zindagi....
Yeh zindagi bari ajeeb si 
 Kabhi gulzar si kabhi bezar si 
 Kabhi khushi hamaray sath sath 
 Kabhi gammon ki barsat si 
 Yeh zindagi bari ajeeb si 
 Kabhi tofanon main bhi hain rastay 
 Kabhi manzilon ka pata nahi 
 Kabhi do kadam pay zindagi 
 Kabhi saddeuon tak intizar si 
 Yeh zindagi bari ajeeb si 
 Kabhi her pal emtihan hai 
 Kabhi bin mangay enam hai 
 Kabhi kuch nahi 
 Kabhi sab kuch si 
 Yeh zindagi bari ajeeb si 
 Kabhi gulzar si kabhi bezar si




Teri Taraf Uthe Hai Khuda Yeh Hath Duaaon Ke Liye,
Meri Duaa Kabhi Na Kabhi To Asar Layegi,
Es Paar Se Chal Ke Hawa Kabhi Na Kabhi To Us Paar Jayegi,
Tadaf Es Dil Mein Bhi Hai, Tadaf Us Dil Mein Bhi Hai,
Mere Dard-A-Dil Ki Dastaan, Uske Dil Ko Jaker Sunayegi,
Es Paar Se Chal Ke Hawa…………………
Khak Mein Mila De Nafrat Ko, Dil Se Mita De Nafrat Ko,
Phir Dekhna Juban Apni Her Taraf Piyar Ke Nagmen Gungunayegi,
Es Paar Se Chal Ke Hawa…………………
Sarhadoon Ki Seemaen Kab Talak Rokegi Rastaan Pyaar Ka,
Wo Din Zarur Aayega Jab Ye Sari Duniya Pyaar Ke Aage Sheesh Jhukayegi,
Es Paar Se Chal Ke Hawa…………………
Hum Bhi Musafir Zindagi Ke, Tum Bhi Musafir Zindagi Ke,
Hai Yakin Kismat Kisi Na Kisi Mood Pe To Mail Karayegi,
Es Paar Se Chal Ke Hawa………………….
Kisi Ko Halaat Ne Mara, Mujhe Zindagi Ke Sawalaat Ne Mara,
Mout Ki Chahat Thi Jab, Kya Pata Tha Zindagi Bhi Usi Waqt Aajmayegi,
Es Paar Se Chal Ke Hawa………………….
Suna Hai Logon Ne Tere Dil Mein Nafrat Bhar Di Hai,
Mere Jane Ke Baad Hi Sahi, Per Kabhi Na Kabhi To Tujhe “Raj” Ki Wafa Yaad Aayegi. !!
Es Paar Se Chal Ke Hawa………………….
**************************


Zindagi Mein Lakhon Hazaron Sapne,
Her Sapne Per Mer-Mit Jane Ka Sapna,
Sapnon Ko Hakikat Ke Rangon Mein Sajane Ka Sapna,
Tujhe Sirf Tujhe Apna Banane Ka Sapna,
Beshaq Ruthker Aap Maano Ya Na Maano,
Lekin Tujhe Baar-Baar Her Baar Manane Ka Sapna,
Hamari Zindagi Mein Chahe Gum Hi Gum Kyou Na Ho,
Per Tere Laboon Pe Muskaan Laane Ka Sapna,
Erada Bhi Tujhse Rahega Vada Bhi Tujhse Rahega,
Aapse Kiye Her Vade Ko Nibhane Ka Sapna,
Mohabbat Itni Karun Ki Zamana Bhi Mujhe Diwana Kahne Lage,
Teri Chahat Mein Mer-Mit Jaon Tere Es Diwane Ka Sapna,
Tujhe Katon Se To Kya Phuloon Se Bhi Gila Na Ho,
Tere Kadmoon Mein Phool Banker Bikhr Jaane Ka Sapna,
Sapno Ki Es Bhid Mein “Raj” Ka Ek Aur Chota Sa Sapna,
Tere Her Khayal Her Sapne Mein Aane Ka Sapna !!

**************************


Mushkilon Mein Jo Yaar Ka Sath Na Nibha Sake,
Aese Bewafa Yaar Ka Milna Bhi Kya,
Jo Mila Wo Bhi Chnd Lamhoon Ke Liye Mila,
Aese Adhure Piyar Ka Milna Bhi Kya,
Sawan Mein Barsi Hai Aakhen Barsaat Ki Tarah,
Bemoosam Mein Bahar Ka Milna Bhi Kya,
Zisam Se Nooch Le Lahu Ka Her Katra-Katra,
Zisam Per Zakhmoon Ki Maar Ka Milna Bhi Kya,
Unche-Unche Mahaloon Ki Khwaish Bhi Kyon Karu,
Jisme Tu Nahi Aese Ghar-Baar Ka Milna Bhi Kya,
“Raj” Zindagi Ke Hathoon Hai Majboor,
Her Dard Ke Sang Ji Raha Hai Zarur,
Na Dil Ko, Na Zajbatoon Ko Jaha Samjhe Koi,
Aese Sansar Ka Milna Bhi Kya !!!

**************************




Ye Zindagi Kya Cheez Hai Mujhe Kya Pata,
Khamakha, Bewaja Zindagi Ko Ek Race Bana Diya,
“Kese Sikhoun”, Ke Bajai(Instead)
“Kese Jeetoun(To Win)” Life Ka Motto Bekarar Kar Diya,
Jo Pehle Aya Who Jeeta, Aur Jo Akhiri Aya Who Hara,
Ye Nahin Dekhte Ke Kiss Ne Insaffi Se Zindagi Ka Khel Khela,
Pooch( To Get Somewhere) Na To Sab Ko Ek Hi Darbar Mein,
Ye Nahin Dekhte Ke Asl Khel To Uper Wale Kaa Hai.
Zindagi Ko Buss Ek Game Bana Diya.


**************************


Tum Jaane Ki Baat Mat Kehna,
Meri Jaan Pe Ban Aayegi.
Tum Ye Jaan Khud Hi Le Lena.
Tumhare Kaam To Aayegi.
**************************

Mere Saki Ne Mere Yaar Ka Kya Haal Kar Dala,
Usko Zindagi Se Azaad Hi Kar Dala,
Pehle To Sirf Tadapta Tha Uski Yaad Mein,
Ab To Hallal Hi Kar Dala,
Aur Jo Maalik Se Rehmat Ki Guzarish Ki Usne,
To Wo Bola “Tujh Jaiso Ko Aapni Riyaasat Se Bedakhal

No comments:

Post a Comment

Powered by Blogger
Web Analytics